Karobari maan…

Tu hi karobar karta raha…tu hi dukhi hota raha…tuhi khush hota raha…tuhi thik aur galat ka faisla karta raha…..mai tera itna aadi ho gaya ki bhul hi gaya ki tu to sirf mera sevak mai…ab soochta hu tujse doori bada hi lu…taki tujpe nazar rakh saaku..

Do Raaste…

Do Raaste hai yaha….ek to rasta jata hai pagalpan ki aur…jo maan ka raasta hai..

aur ek rasta jata hai param anand ki aur….jo tumhara swabhav hai…jo maan ke par hai…

maaje ki baat yeh hai ki jitna tum jaate ho pagalpan ki taraf, utni hi matra mai tum param anand ki taraf jaate ho…baas ek chalang maarne ki jaroorat hai…..bas guru ke prem se aapne patra bharne ki deri hai…..aur utna prem, utna avkas, utni jagah mil jae to ek shan mai chalang lag sakti hai…